Janam kay smay aapka jeevan ek corey canvas ki trah hota hai
, fir hum apni kabiliyat ,Samarth or akhamta kay anusar us may rang bhartey
hai. Hum sbhi kay canvas ka rang alag alag hota hai.Arthat jeevan kay prti
humara njariya alag hota hai . Hum sabhi
sfar ki suruat to ek korey kagaj ki trah krtey hai fir samy kay sath sath kagaj
arthah jeevan ka rang bhi bdlney lgta hai. Bachpan ki nadani kb jvani ki
dehleej maine parvesh kr jati hai or hum
jindgi ko suljhaney ki jadojahad maine kanhi gum say ho jatey hai. Bachpan say
jvani ki sfar na jana kb kaisey or kitni jaldi humney tay kr liya.
Hur sfar maine
kanhi na kanhi kisi na kisi mod pay humey kuch kathinayio ka samna krna pdta
hai . Shayd hi koi aisa safar ho jismey kuch kathi mithi yadey na chupi ho.
Jindgi bhi to ek sfar hi hai kathi or mithi yadey sfar ka hissa hai.
A journey begins …. Kay madhayam say maine apni or apni trah
kay tmam logo ki jo merey trah ek aam insane
hai unki jeevan or jeevan ki sfar say judi kuch kathi mithi yadoo ko aapkey samney
rkhunga. Mujhey viswas hai aap esko jrur pdhengay or apna shujhab bhi humey
btaengay.
Dhnaybad jaldi lautunga A
journey begings kay pahley blog kay
sath…….
By- Vishal kumar
I will wait for your post :-)
ReplyDeleteI will wait for your post :-)
ReplyDelete